Recent Posts

google admob ki puri jankari janye hindi me

online paise kaise kamaye google admob se, 



google admob
google admob


namaste dosto
ajj ham janenge ki google admob kya hai? admob se daily 15$ kaise kamaye  ji haa dosto bilkul sahi suna apne agar apka bhi ek android application hai aur google playstore me submit kiya hua hai to jarur paise kama sakte ho. ye koi muskil kam nhi hai admob ajjkal har koi use kar rha hai aur paise bhi kama raha hai.
google pe laakho user bharosa karte hai to admob google ki ek service hai.google ke product hamesa hi useful rahte hai. at first jab hamara koi blog ya youtube channel hota hai to adsense ki ads lagakar ham revenue earn money karte hai. but jab android apps se earning ke liye google admob most important hota hai.
admob ek advertisement product hai jo ki google ki hai.google admob android, iphone, windows ki jo application hoti hai uspe advertise dene ka kam karta hai.fir jo bhi advrtise ka paisa milta hai usme se commision katkar baaki ka revenue income hamko deta hai.
google admob service pahle google ki product nhi thi but usne kharid kar apna bana liya tha aur ek achchi starting kar li hai. iska fayda google ko ye hua ki apps devlopers ki traffic badhne lagi aur kai saare application me badhotari huyi iske piche admob advertisement ka haath hai. admob app ko omar Hamoui name ke bande ne 10 april 2006 me banayi thi. suruaat me admob me jyada feature nhi the to kuch badlaav karne ke liye mountain view place california, U.S.A me eska headquater banaya tha. baad me google ne socha ki adsense ke similar admob bhi kaam ayega to google ne 750$ million dollers dekar admob ko november 2009 ko kharid liya.2010 me isko redesign change karke google.Inc se republish kar diya.
Admob ki advertising android, iphone, windows, Flash lite, webOS aur sabhi tarah ke mobile apps par istemaal kar sakte hai. admob ki ads deke bohat saara paisa kama sakte hai. karna sirf itna hai ki android app banake google play store me submit kar dena hai uske baad basically admob ki ads lagaani hai and earning start ho jayegi.
sabse pahle apka adsense account approve hona chahiye tabhi app admob ki earning adsense ke throwgh le sakte ho and withdraw kar paoge.
  • first apko ek free android apps banana hai ye kuch website hai jaha asani se android apps bana sakte ho.
  • second apko android apps ke baad google play store me 25$ Fees deke apna apps register karwana hai.
  • jab apki android apps par 1000 user download kar le tab app admobe publisher account bana le.
  • fir google admob approve asani se ho jayega aur admob ke ads creat kar le and last me apne android apps coding me edit kare.
  • ab jab koi user us ads par click karega to apki earning start ho jayegi.
admob ki ads 150kb ki file ki rakhe ye most important hai.320×50 , 468×60 320×480 size ki better hoti hai. because maine dekha hai ki admob ki CPC bohat jyada milti hai. average admob ki cpc 0.05$ se 0.16$ mil jaati hai to socho apki earning kitni hogi.
google admob
admob

ye maine sirf 1 din me kamaya hai playstore me laakho user hote hai aur android apps download bhi ho jata hai. so jyadatar ads show automatic ho jaane ke karan hamari admob earning bhi badh jaati hai.
google admob se per day 15$ kamaane ke liye 1000 ads impression per day apne android app me ani jaruri hai. cpc mere hisaab se 0.09$ tak mil jayegi.ads click 100 se 150 tak automatic ho jayenge. so apki earning per day ki 15$ honi start ho jayegi.
google admob ki puri jankari janye hindi me google admob ki puri jankari janye hindi me Reviewed by hindi gayan on March 17, 2019 Rating: 5

No comments:

Thankyou

Kaise Aapne Branding Ko Grow Kare BioTech Company Ki Help Se? जानिये पूरी बात Hindi Me— 2022— (Hindi3)

Kaise Aapne Branding Ko Grow Kare BioTech Company Ki Help Se? जानिये पूरी बात Hindi Me— 2022— (Hindi3) : व्यवसाय (Branding) बायोटेक क्षेत्र ...

Home Ads

Powered by Blogger.