Recent Posts

Kya copyright content likhna accha hai ? How to get success quickly ? In hindi

Copy paste toh wohi karte hai jinko nahi pata hai ki usko karne se nuksan ho sakta hai. Lekin aj me aapko batawonga content copy paste karna accha hai ki nahi aur aap kya kar sakte hai jisse aap aapne hindi blog me professional blogger ban sakte hai.
☛ BLOG KO GOOGLE ME FIRST PAGE PAR LANE KI 3 SUPER SEO TIPS
☛ BHAVISHY ME BLOG KAISA HOGA ? FUTURE KA BLOG IN HINDI
Kya copyright content likhna accha hai.
Copyright content

Jo blogger dusro ka content copy-wright ya copy-paste karta hai usse google panda asani se pehchan leta hai. Agar aap hindi blog se earn karna ya famous hona chahte hai toh aap copyright content na likhe isse aapka kuch faida nahi hone wala balki isse aapka nuksan hoga.

Issiliye mai aapko recommend karta hu ki agar aap internet par kuch karna ya pana chahte hai toh aap copyright content use karna band kar de.

Disadvantage Of Copyright Content

1. Aapka image, internet me ya real life me bhi kharab ho sakta hai.
2. Aapka blog fan par se aapka bharosa tut jayega.
3. Aapka blog ya website rank nahi hoga balki rank ghatte jayega.
4. Aapko google se copyright strike aa sakta hai.
5. Aap blog ya website par kabhi safalta hasil nahi kar payenge.
6. Aapka blog ya website jyada samai tak nahi chalega.
7. Aapka adsense se earning kum hote jayega.
8. Copyright content likh kar aapka samai waste ho sakta hai.
9. Copyright likhne se aapka website ya blog delete ho sakta hai.

Ab aapko pata chal he gaya hoga ki isske aapko nuksan ho sakta hai. Toh aap kabhi bhi copyright content na likhe agar aapko internet me successful hona hai toh aap aapne khud ka hidden talent
ka use kare tabhi aap aapne lakshya ko bhed sakte hai. Duniya ma koi bhi kaam karna impossiple nahi hai kyonki impossible khud kahta hai " I M Possible " ".
Agar aap  hindi blog me jaldi he safalta panna chahte hai toh aap mera bataye gaye inn steps ko jarur follow kare jisse aap professional ban jayenge aur aapko aapne hindi blog me success paney me aasani hogi.

Tips To Become Professional Blogger

1. Aap aapna hindi blog ke liye niche choose kare, jissme aap              blogging karna chahte hai. eg- health tips and tricks, fitness tips,      traveling, news, marketing, SEO etc aur aap wohi chune jinme        aap mahir hai agar aap kisi chij me mahir nahi hai toh aap uss          chij me focus kare aur usse jaldi se sikhe kyonki mehnat karne        se he aap aapne hindi blog me safalta pa sakenge.

2. Uske baad jab aap aapne niche ko finalized karte hai tab aapko        aapna topic research karna hai kyonki hindi blog me
    researching skills ka hona bahut he jaruri hai. 

3. Uske baad aapko article ka tittle accha rakhna hai jisse aap              aapne visitors ko attract kar paye.

4. Uske baad aapko uss tittle ke hisab se aapna article likhna hai 
    aur dhyan rahe article me aap understandable aur informative
    line hi likhe. Article ke paragraph jitna ho sake utna chota                banaye kyonki logo ko long paragraph padhna accha nahi lagta
    hai aur important word ko bold, underline, italic hand writting,        karna na bhule. 

5. Akhir me usse check karna na bhule taki aap chotte-motte                mistake ko sudhar sake aur publish karne ke baad usse share            karna na bhule jisse aapko accha traffic mill sake.

Related article
☛ BLOGGER, SEO TIPS AND TRICK TO RANK YOUR NEW BLOG IN HINDI
☛ EARN MONEY ONLINE, EARN MONEY | TOP 5+ LEGIT WAY TO EARN MONEY ONLINE FROM HOME IN HINDI

Ab aapko abtak kafi kuch jankari mill gai hogi toh ab aap isse aapne dosto ke sath share karna na bhule aur aap aapne problems hamare sath comment ke jariya share kar sakte hai jisse aapke samasya ka haal nikal sake aur lastly iss blog ko follow karna na bhule taki aap aisehe informative post ka pata chal sake.

Kya copyright content likhna accha hai ? How to get success quickly ? In hindi Kya copyright content likhna accha hai ? How to get success quickly ? In hindi Reviewed by hindi gayan on April 22, 2019 Rating: 5

No comments:

Thankyou

Kaise Aapne Branding Ko Grow Kare BioTech Company Ki Help Se? जानिये पूरी बात Hindi Me— 2022— (Hindi3)

Kaise Aapne Branding Ko Grow Kare BioTech Company Ki Help Se? जानिये पूरी बात Hindi Me— 2022— (Hindi3) : व्यवसाय (Branding) बायोटेक क्षेत्र ...

Powered by Blogger.