Recent Posts

Google ka Tez app kya hai is app ke bare mai janye hindi mai.2018 ka new update,

Google Pay apps ki jankari ? Google pay apps se Recharge kaise kare ? how to recharge google pay apps in hindi ?
Namaskar dosto, google ne apna naya payment ka app launch kiya hai , jiska nam hai Tez.Yeh ek UPI based payment app hai jo ki India ke liye google ne banaya hai .Iss part ma mai apko batawonga ki Tez app kya hai aur iske features bhi mai apko btawonga.
TEZ app kya hai ?


Tez ek naya payment app hai jo google ke dwara banaya gaya hai. India ko digital india programming ko dhyan ma rakte hua google ne Tez app banaya. Tez app se app kisi bhi byakti ko apne mobile se hi paise send kar sakte hai.
Is app ma apko bank account sirf link karna hai. Account link karna bahut hi assan hai apko sirf apka mobile number jo bank account par link hai use sirf apko register karna padega . Tez app apka bank detail apneap dhund lega.
·         1. Tez cash mode

Tez app ka sabse unique feature hai cash mode ye feature se dusre tez user ko apna phone number, UPI ID jane bina paise bhej sakta hai.
Yeh feature ma apko dusre Tez user ka phone apne phone ke kareeb rakhna hoga. Cash mode apneap najdeki  user ka pata laga lega. Is tarah se app ek click mai paise bhej ya lae bhi sakte hai.

·         2.  UPI support

Tez ma apke native UPI support mil jata hai. Yani ki BHIM app,PhonePe ke sabhi feature apke Tez ma mil jati hai.
UPI se ap kisibhi dusre UPI user ke UPI ID ki madad se ap paise bhej ya lae bhi sakte hai.

·         3. Payment through account number and IFSC code

Agar apkokise aise byakti ko paise bhej na hai jo UPI app nahi chalata hai to ap account number aur IFSC number ke dwara paise bhej sakte hai.
Yani ki apko kisi bhi bank app ka istemal karne ki jarurat nahi padegi.

     4. Payment through QR code


Tez app ke jariye ap sirf QR code scan karke paise bhej sakte hai. BHARAT QR jaise app ka feature ab apke Tez app ma bhi mil jayega.

·         5. Payment through mobile number

Tez app ke jariye ap sirf mobile number ke jariye bhi paise bhej sakte hai apne contact list se sirf apke Tez user ka mobile number dail karna hai aur ek click ma ap paise bhej sakte hai.

·         6. Google security

Tez app ma bhi apko google ka security feature mil jayega jo dusre app ma nahi milta hai.
Tez app ko apne phone ma job hi lock hai uske jariye lock kar sakte hai ya fir ap google PIN create kar sakte hai, jo google server ma save ho jayega.

 7. Multiple account support



Tez app ma ap apne sabhi app link kar sakte hai yah feature apke BHIM app ma bhi nahi melega.

·         8. Bill payment feature

Online bill payment, postpaid mobile bill payment, water bill, insurance bill, bajaj auto finance EMI etc payment kar sakte hai.

·         9. Chat support

Ab ap Tez app user se chat kar sakte hai.
 Google ka Tez app kya hai is app ke bare mai janye hindi mai.
·         10. Credit card bill payment

Tez app ke aye update me aapke credit card bill payment ka vikalp mil jayega. Isse ap aapne credit card ka monthly EMI bade hi asani se chukta kar sakte hai.

Google ka Tez app kya hai is app ke bare mai janye hindi mai.2018 ka new update, Google ka Tez app kya hai is app ke bare mai janye hindi mai.2018 ka new update, Reviewed by hindi gayan on May 25, 2019 Rating: 5

No comments:

Thankyou

Kaise Aapne Branding Ko Grow Kare BioTech Company Ki Help Se? जानिये पूरी बात Hindi Me— 2022— (Hindi3)

Kaise Aapne Branding Ko Grow Kare BioTech Company Ki Help Se? जानिये पूरी बात Hindi Me— 2022— (Hindi3) : व्यवसाय (Branding) बायोटेक क्षेत्र ...

Home Ads

Powered by Blogger.