Recent Posts

Hostgator ke hosting me multi domain use karne ki jankari ?

Hostgator  ke hosting me multi domain kaise use kare ? 
WordPress platform par blog banane ke liye aapko hosting ki jarurat hoti hai. bahut si websites hosting provide karti hai. lekin hostgator aur bluehost sabse jyada popular hai. Jaha tak mujhe pata hai hindi blog ke liye hostgator, bluehost aur godaddy ki hosting best services deti hai. agar aap hostgator ki hosting use karte hai to iss post me aapko hostgator par multi domain add karne ki details me jankari milegi.


Hostgator  ke hosting me multi domain use karne ki jankari


Jab hum hosting lete hai to hume uske liye ek domain ki jarurat padti hai. aur agar aapke pass pahle se domain hai to aapko wo domain hosting company par provide karna padta hai. Isske liye aapko domain site par DNS record add karna hota hai. Exaply aapne hostgator se hosting li hai aur godaddy se domain liya hai to aapko godaddy site par hostgator ka diya DNS record godaddy site par add karna hai.

Iss post mai aapko DNS record ko add karne ke sath hostgator par multiple domain yani jisse humne hosting li hai usse alag dusra domain kaise use karte hai.
Hostgator Par एकाधिक डोमेन का उपयोग Kaise करें?
Hostgator Par DNS रिकॉर्ड Kaise करें?
DNS रिकॉर्ड ko डोमेन साइट Par Kaise Add Kare?
Hostgator Hosting Par Other Domain Kaise Add Kare?
WordPress Par DNS Management की स्थापना Kaise Karte Hai?

वैसे ab aapko ye to samajh aa gaya hoga ki iss post me hum isske bare me bat karne wale hai aur aapko issme kis tarah ki जानकारी मिलाने वाली है। इसलिए ध्यान से पढ़िए।
Hostgator  ke hosting me multi domain kaise use kare ?

Agar aapke pas hostgator ka baby ya business plan hai to aap hostgator par unlimited domain use kar sakte hai. to chaliye ab  aapne topic par aate hai aur bat karte hai ki kaise hum hostgator ke hosting me multi domain manage kar sakte hai.

Sabse pahle aap hostgator par apne cpanel par jaye aur apni ID se log in kare. isske liye aap ye link bhi use kar sakte hai. “Yourdomain.com/cpanel” yaha aapko wo domain use karna hai jisse aapne hostgator se hosting lee hai.

Ab aap scroll down kijiye aur domains options me Addon Domains par click kijiye. aap chahe to left side search box me addon type kar ke bhi iss features ko search kar sakte hai.


Hostgator  ke hosting me multi domain kaise use kare


Ab jo page khulega. Usme aapko apna domain add karna hai.
aapna new domain add kare. Yaha aapko www ya http ke bina doamin add karna hai. aur agar aap chahe to “subdomain aur FTP username” ke samne aapne domain ke liye username chage kar sakte hai ya fir domain ka hi username set kar sakte hai.
domain ke liye password set kare.
add domain par click kare.


 multi domain use karne ka tarika


Ab aapka domain to hostagator par add ho chuka hai. lekin abhi ye kaam nahi karega. Isske liye aapko domain site par hostgator hosting ka DNS record add karna hoga. Isski jankari ke liye aap Hostgator Hosting Par Domain DNS Record Kaise Manage Kare  padhiye. issme aapko domain DNS record server ki puri setting karne ki jankari mil jayegi.
issi tarah aap hostgator hosting par unlimited domains add kar sakte hai aur ek se jyada WordPress blog install kar sakte hai.  aur agar aap se kahi koi galati ho jaye to aap domain ko remove kar fir se add kar sakte hai. Isske liye aap hostgator cpanel > domains > addon domains par jayer aur domain ke samne remove par click karke domain ko delete kar de.
aapko iss post me di gayi jankari pasand aayegi aur aap isko follow karke hostgator par additional domain add kar sakte hai. aur agar aapke pas iss bare me koi aur jankari hai ya fir aap iss post se related koi sawal puchna chahate hai to comment section me aapne  comment share kar sakte hai.




Hostgator ke hosting me multi domain use karne ki jankari ? Hostgator  ke hosting me multi domain use karne ki jankari ? Reviewed by hindi gayan on May 23, 2019 Rating: 5

No comments:

Thankyou

Kaise Aapne Branding Ko Grow Kare BioTech Company Ki Help Se? जानिये पूरी बात Hindi Me— 2022— (Hindi3)

Kaise Aapne Branding Ko Grow Kare BioTech Company Ki Help Se? जानिये पूरी बात Hindi Me— 2022— (Hindi3) : व्यवसाय (Branding) बायोटेक क्षेत्र ...

Home Ads

Powered by Blogger.